Tuesday, October 18, 2022
HomeSad ShayariAlone Sad Shayari in hindi Pehli Mohabbat Ka Anzaam

Alone Sad Shayari in hindi Pehli Mohabbat Ka Anzaam

Alone Sad Shayari in hindi

हर तन्हा रात में एक नाम याद आता है,
कभी सुबह कभी शाम याद आता है,
जब सोचते हैं कर लें दोबारा मोहब्बत,
फिर पहली मोहब्बत का अंजाम याद आता है।
Har Tanha Raat Mein Ek Naam Yaad Aata Hai,
Kabhi Subhah To Kabhi Shaam Yaad Aata Hai,
Jab Sochte Hain Kar Lein Dobara Mohabbat,
Fir Pehli Mohabbat Ka Anzaam Yaad Aata Hai.

वो रोए तो मगर मुझसे मुँह मोड़कर रोए,
कोई मजबूरी होगी जो दिल तोड़कर रोए,
मेरे सामने कर दिए मेरी तस्वीर के टुकड़े,
मेरे बाद वो उन्हें जोड़-जोड़ कर रोए।

Wo Dil Tod Kar Roye Shayari

Wo Roye To Magar Mujhse Moonh Modkar Roye,
Koi Majboori Hi Hogi Jo Dil Tod Kar Roye.
Mere Saamne Kar Diye Meri Tasvir Ke Tukde,
Mere Baad Wo Unhein Jod-Jod Kar Roye.

इक तेरे बगैर ही न गुजरेगी ये ज़िंदगी मेरी,
बता मैं क्या करूँ सारे ज़माने की ख़ुशी लेकर।
Ek Tere Bagair Hi Na Gujregi Ye Zindagi Meri,
Bataa Main Kya Karoon Saare Zamane Ki Khushi Lekar.

जब भी वो उदास हो उसे मेरी कहानी सुना देना,
मेरे हालात पर हँसना उसकी पुरानी आदत है।
Jab Bhi Wo Udaas Ho Use Meri Kahani Suna Dena,
Mere Haalat Par Hansana Uski Purani Aadat Hai.

Jo Mila Uss Se Mohabbat Na Huyi

कुछ तबीयत ही मिली थी ऐसी,
चैन से जीने की सूरत नहीं हुई,
जिसको चाहा उसे अपना न सके,
जो मिला उससे मोहब्बत न हुई।
Kuchh Tabiyat Hi Mili Thi Aisi,
Chain Se Jeene Ki Soorat Nahi Huyi,
Jisko Chaaha Usey Apna Na Sake,
Jo Mila Uss Se Mohabbat Na Huyi.

औरों के पास जा के मेरी दास्तान न पूछ,
कुछ तो मेरे चेहरे पे लिखा हुआ भी देख।
Auron Ke Paas Ja Ke Meri Daastan Na Poochh,
Kuchh To Mere Chehare Pe Likha Hua Bhi Dekh.

अब भी इल्जाम-ए-मोहब्बत है हमारे सिर पर,
अब तो बनती भी नहीं यार हमारी उसकी।
Ab Bhi ilzam-e-Mohabbat Hai Humare Sar Par,
Ab To Banti Bhi Nahi Yaar Humari Uski.

किसी को इतना मत चाहो कि भुला न सको,
यहाँ मिजाज बदलते हैं मौसम की तरह।
Kisi Ko Itna Mat Chaaho Ke Bhula Bhi Na Sako,
Yahan Mijaaz Badalte Rahte Hain Mausam Ki Tarha.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Most Popular

Recent Comments